Monday, November 19, 2012

Maqtal-e-Hussain


 
By: Zahoor ul Islam



Maqtal Hussein saja howa hai abhi talak,
Qatal abhi bhe jari hai insaf ka,
Jo samajthae thae kae zulmat ka sooraj doob giya,
Unka khawab abhi bhi hai buss aik khawab sa,



Insanyaat ka qatal abhi bhi jaari hai,
Kissi ki Aannaa abhi talak saari ummat per bhari hai,

Khooon abhi bhi beh raha hai haq kai naam per,
Kae mil raha ganda pani, Amrit kai daaam par,

Wahi maaal bechtae howae chehrae badal rahe hain aaj,
Mein tu gulam hoon, farq nahee badal chalae kisi ka raaj,

Mujae iis qafas sae azad koi karwae kiyon,
Hussein tu waqt tha, Guzar giya, woh wapis aaae kiyon,

Meri zaaat aik na aik din mith hi jae gi,
woh tumharae maatam sae wapis kabhi na aaye gi,

Seenae paar parte hath, zalim per kub Uthaao gae,
Zulm ko roknae kub tum Hurr ki tarha chalae aao gae,

Zulm ko rook doo tum, aaaj phir  Hussein ko zinda kar doo,
woh hi tarkeeb karo, Zalim ko usi kae zulm sae sharminda kar do,

Dekhna koi zulm tum sae na hoonae pae,
Koi Saakina aaj kai baad aab yateem na honae pae,

Haq kae naam par Kisi ki sooch par talae na lagana tum,
Apnae gandae hathoon ko Waazo sae na bacahana tum,

Hussein tu naam hai , Aailaan hai aazadi ka,
Nateeja hamesha hai Zulmat aur zalim ki barbadi ka,

Zahoor waqt tu aik din Aakhir badal hi jata hai,
Sub Mith jata hai  Buss Hussein hi reh jata hai.
 

No comments:

Post a Comment